New Naat Sharif (Anzurna Ya Rasool Allah)
Roman Urdu Translation:
Anzurna Ya Rasool Allah ﷺ
Anzurna Ya Habeeb Allah ﷺ
Tu mera Siraaj hai, mere sar ka taaj hai.
Sidrat se aage Arsh tak Aaqa teri Me’raaj hai.
Tu Habeeb-e-Kibriya, tera do jahan pe raaj hai.
Teri nigah-e-naaz ka har Ummati mohtaaj hai.
Anzurna Ya Rasool Allah ﷺ
Anzurna Ya Habeeb Allah ﷺ
Dekha tujh ko Bilalؓ ne to Ahad Ahad kehne laga.
Suna tujh ko Owaisؓ ne to Samad Samad kehne laga.
Teri nigah ka yeh asar, tera ala husn o jamaal hai.
Tu Rasool-e-Haq, tera martaba kamaal hai.
Anzurna Ya Rasool Allah ﷺ
Anzurna Ya Habeeb Allah ﷺ
Aqsa mein parh ke namaaz, sab Nabiyon ne yeh kaha.
Tera Khulq, Khulq-e-Azeem, tu Raoof hai, tu Raheem hai.
Tu hai Imaam-e-Mursaleen, tu Paighambar-e-Kareem hai.
Tu khud Khuda ka hai raasta, tu Siraat-e-Mustaqeem hai.
Anzurna Ya Rasool Allah ﷺ
Anzurna Ya Habeeb Allah ﷺ
Saeed tujh ko fikr kya, tujh ko in se pyaar hai.
Jis ke rukh ki roshni par chaand bhi nisaar hai.
Khursheed jis ko dekh kar palatne ko tayar hai.
Jo do jahan ka hai Badshah, aur jo Khuda ka yaar hai.
Anzurna Ya Rasool Allah ﷺ
Anzurna Ya Habeeb Allah ﷺ
(Dr. Ali Saeed)
https://scholar.google.com/citations?user=_m5oQE4AAAAJ&hl=en&oi=sra
Comments
Post a Comment